Arpit Katiyaar

JNV Kanpur Nagar
I'd like to become a Dakshana scholar and hopefully attend IIT

Bachpan se hi maine apne mata-pita k naam ko roshan karne ka than liya tha. Lekin mujhe yeh nhi pata tha ki mujhe krna kya hai. Jab mera chayan hua Navodaya me maine pehli baar IIT ka naam suna. Jab IIT k baare me janna shuru kiya tab pata chala ki IIT ki coaching tatha dakhila me bahut paise lagte hai . yeh jankar dukhi ho gya kyunki mere mata pita ke paas itne rupaiye nhi the ki vo mere kharche me laga sake. Iske baad maine dakshana ka naam suna aur jana ki ye nishulk coaching deti hai. Tabse maine pran kiya tha ki dakshana pariksha pass karke dikhaunga.
Mujhe bahut Khushi hai ki mai ek dakshana scholar hoon. Dakshana IIt me pahunchne ka eke k safal shreshth sanstha hai.dakshana scholar banne k baad ab mera lakshya IIT crack krne ka hai. IITian banne k baad mai apna , apne mata-pita, Navodaya Vidyalaya aur dakshana ka naam roshan karunga. IIT safalta k rah hai. Mujhe dakshana par garv hai.
Note: This is an exact reproduction of the essay sent to us.

Coaching Location: JNV Bengaluru Urban
Batch: JEE 2020
Graduation College: Institute of Engineering and Technology, Lucknow
Stream: Information Technology