Amresh Kumar

JNV Hathras
I'd like to become a Dakshana scholar and hopefully attend IIT

I’d like to become a Dakshana Scholar and hopefully attend Engineering/Medical college because maine apna lakshaya ek engineer banaya hai aur mai Dakshana ki sahayta se asani se lakshaya prapta kar paunga aise meri aasha hai . Mera bachpan se hi shauk raha hai ki mai ek engineer banker acche acche model bnau jisse mai logo ko behtar suvidhao ko dilwaane me madad kar saku tatha desh ki kuch samasyao ka nidan krne me madad kar saku.
Aisa mujhe lagta hai ki mai engineering line me jakar apne mata- pita ka sapna jalda pura kar sakta hu kyoki isme mere vishaya ganit rasayan vigyan , aur bhautik vigyan aate hai jo mujhe pasand hai.
Aur Dakshana mere liye bahut hi badi dakshina hai kyoki mai sayad hi apne mata pita ki kamai se engeneering ki coaching ke sapne dekh pata. Lekin ab mujhe aasha aur vishwas dono dikhayi padte hai. Mai ek accha enginner banunga , aise aasha lekar apne lakshaya ke prati laganshil hu. Aur vhawishya me mai apne mata pita ko aur dakshana staff ko ek engineer bankar dikhaunga.
Note: This is an exact reproduction of the essay sent to us.

Coaching Location: JNV Bengaluru Urban
Batch: JEE 2020
Graduation College: IIT Guwahati
Stream: Chemical Engineering